Tuesday, April 5, 2011

Kaha Chand nay ik shab Mujh say ..

Kaha Chand nay ik shab Mujh say ..



Hay aaj ki Raat Gehri Bohat,

ub k shayad Doob jaun mai,

baad meray ho ge subho magar

kam sab apnay tum..

Din mai he niptaya karna.

na andhairay say kabhi larrna,

na yaad kar k roana mujay..

meri majburi say tum na'wakif.



yeh keh k phir wo doob gya..



Roag Chupayay Dunya say

Band mai ik Kamray mai ho gya



aaJ ik Muddat baad

Chand k sath Guzray Lamhay

wo sab baatain,

shiddat say yaad ayin..

Neend jalai ma nay aur..

hijar ki khirrki say parda hatta kar

Door falak dekha toa..

Dikhayi diya mujay chaand wohi

Javani qayam aur chandni dayaim.

magar .. !

hairat mujay, na zaroorat ub..

mai k dard-e-tanhai say choor,

subho-e-roshan ki talash mai,

soanay k liyay,

Bister-e-marg pay parra houn..



Poet :

Asad mura
d

1 comment: